اردو हिंदी
Kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai | Shaahi Shayari
kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai

Ghazal

Kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai

Munawwar Rana

;

kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai
main ghar mein sab se chhoTa tha mere hisse mein man aai

yahan se jaane wala lauT kar koi nahin aaya
main rota rah gaya lekin na wapas ja ke man aai

adhure raste se lauTna achchha nahin hota
bulane ke liye duniya bhi aai to kahan aai

kisi ko ganw se pardes le jaegi phir shayad
uDati rail-gaDi Dher sara phir dhuan aai

mere bachchon mein sari aadaten maujud hain meri
to phir in bad-nasibon ko na kyun urdu zaban aai

qafas mein mausamon ka koi andaza nahin hota
KHuda jaane bahaar aai chaman mein ya KHizan aai

gharaunde to gharaunde hain chaTanen TuT jati hain
uDane ke liye aandhi agar nam-o-nishan aai

kabhi ai KHush-nasibi mere ghar ka ruKH bhi kar leti
idhar pahunchi udhar pahunchi yahan aai wahan aai