kisi ko dard sunana bhi kitna mushkil tha
mazaq apna uDana bhi kitna mushkil tha
haqiqaton pe hasin parda Dalne ke liye
fusun ka jal bichhana bhi kitna mushkil tha
kabhi raha tha jin aankhon ka ban ke surma main
unhin se aankh churana bhi kitna mushkil tha
wo lan-tarani mein tha mahw aankh band kiye
so us ko shisha dikhana bhi kitna mushkil tha
gulon mein ki wo lagai bujhai sarsar ne
chaman ki laj bachana bhi kitna mushkil tha
'asar' KHalal ke sharare the dasht-o-sahra mein
sukun ka KHema lagana bhi kitna mushkil tha

Ghazal
Kisi ko dard sunana bhi kitna mushkil tha
Marghoob Asar Fatmi