kisi ko apne amal ka hisab kya dete
sawal sare ghalat the jawab kya dete
KHarab sadiyon ki be-KHwabiyan thin aankhon mein
ab in be-ant KHalaon mein KHwab kya dete
hawa ki tarah musafir the dilbaron ke dil
unhen bas ek hi ghar ka azab kya dete
sharab dil ki talab thi shara ke pahre mein
hum itni tangi mein us ko sharab kya dete
'munir' dasht shurua se sarab-asa tha
is aaine ko tamanna ki aab kya dete
Ghazal
Kisi ko apne amal ka hisab kya dete
Muneer Niyazi