kisi ki zulf-e-shikan-dar-shikan ki baat hui
hamare waste dar-o-rasan ki baat hui
kabhi dhanak pe kabhi chandni pe hath paDa
jo tere jism ki tere badan ki baat hui
ek aah dil se uThi aur labon pe TuT gai
kabhi kahin jo teri anjuman ki baat hui
zahe-nasib ki tera bhi nam aaya hai
jahan jahan mere diwana-pan ki baat hui
hazar rang nigahon mein ghul gae 'shahid'
agar kahin kisi gul-pairahan ki baat hui

Ghazal
Kisi ki zulf-e-shikan-dar-shikan ki baat hui
Shahid Akhtar