kisi ki zist ka bas ek bab sannaTa
kisi ke waste pura nisab sannaTa
hai us ko lafz se matlab mujhe maani se
hai us ka shor mera intiKHab sannaTa
darun-e-KHana ki viraniyan kuchh aisi thin
barun-e-KHana hua aab aab sannaTa
mujhe pata hai kahani ka iKHtitam hai kya
tawil baat ka lubb-e-lubab sannaTa
meri KHamoshi pe ungli uThata rahta hai
KHud apna karta nahin ehtisab sannaTa
buland hoti sada ko daba ke KHush mat ho
zarur laega ek inqalab sannaTa
shab-e-firaq teri yaad meri tanhai
udas udas faza mahtab sannaTa
abhi 'kamal' yahan qahqahe uchhalte hain
kahin na kar de unhen ek KHwab sannaTa
Ghazal
Kisi ki zist ka bas ek bab sannaTa
Ahmad Kamal Hashmi