kisi ki yaad rulae to kya kiya jae
shab-e-firaq satae to kya kiya jae
jo rafta rafta gham-e-intizar ki dimak
mere wajud ko khae to kya kiya jae
shab-e-firaq ho ya ho visal ka mausam
ye dil sukun na pae to kya kiya jae
dikha ke chand sa chehra wo husn ka paikar
asir apna banae to kya kiya jae
sharab-noshi se main dur bhagta hun magar
koi nazar se bhulae to kya kiya jae
mere ilaj ko kitne tabib aae magar
dawa bhi dard baDhae to kya kiya jae
sukun milta hai jis ki nigah se 'afzal'
wahi nigah churae to kya kiya jae
Ghazal
Kisi ki yaad rulae to kya kiya jae
Afzal Allahabadi