kisi ki yaad ko hum zist ka hasil samajhte hain
usi ko rahat-e-jaan aur sukun-e-dil samajhte hain
sahaara hai kahan yarab tere kashti-shikaston ka
nikal aati hai mauj aaKHir jise sahil samajhte hain
dil-e-gham-dida rota hai teri sahra-nawardi par
magar ai qais hum laila ko bhi mahmil samajhte hain
ye hai daur-e-haqaeq sehr-o-afsun ho gae baatil
magar kam hain jo sehr-e-husn ko baatil samajhte hain
kahan zarra kahan KHurshid KHush-fahmi hai ye apni
ki KHud ko jalwa-gah-e-dost ke qabil samajhte hain
adam hai ek nafas ka fasla hasti se lekin hum
wo ghafil hain ki us ko dur ki manzil samajhte hain
kabhi 'mahrum' hum bhi zindagi par jaan dete the
magar ab maut se us ko siwa mushkil samajhte hain

Ghazal
Kisi ki yaad ko hum zist ka hasil samajhte hain
Tilok Chand Mahroom