kisi ki yaad ko apna shiar kar lenge
faza-e-dahr ko hum sazgar kar lenge
hum apne gham ko KHushi mein shumar kar lenge
KHizan ke daur mein jashn-e-bahaar kar lenge
rasai hogi jo is bazm mein kabhi apni
nasib walon mein apna shumar kar lenge
kabhi milega jo izn-e-ubudiyat hum ko
to ek sans mein sajde hazar kar lenge
raha karam jo tumhaara to bahr-e-hasti se
hum apni kashti-e-ummid par kar lenge
teri talash mein aaenge kaam dagh-e-jigar
hum un se raushni-e-rah-guzar kar lenge
KHushi se milne lage hain wo aaj kal hum se
hum apni zist ko ab KHush-gawar kar lenge
nazar hai dar pe hamari ki dam hai aankhon mein
abhi kuchh aur tera intizar kar lenge
hum apne KHalq ki duniya sanwar kar 'KHushtar'
husul-e-rahmat-e-parwardigar kar lenge
Ghazal
Kisi ki yaad ko apna shiar kar lenge
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar