kisi ki yaad ka saya tha ya ki jhonka tha
mere qarib se ho kar koi to guzra tha
ajab tilism tha us shahr mein bhi ai logo
palak jhapakte hi apna jo tha paraya tha
mujhe KHabar ho jo apni to tum ko likh bhejun
abhi to DhunD raha hun wo ghar jo mera tha
kisi ne muD ke na dekha kisi ne dad na di
lahuluhan labon par mere bhi naghma tha
main bach ke jata to kis samt kis jagah ki mujhe
kahin zamin ne kahin aasman ne ghera tha
zara pukar ke dekhun na un dayaron mein
mera KHayal hai ek shaKHs mera apna tha
mahak lahu ki thi ya tere pairahan ki thi
mere badan se hayula sa ek lipTa tha
udas ghaDiyo zara ye pata to de jao
kahan gaya wo KHushi ka jo ek lamha tha
Ghazal
Kisi ki yaad ka saya tha ya ki jhonka tha
Aslam Habeeb