اردو हिंदी
Kisi ki yaad hai aur hasraton ka matam hai | Shaahi Shayari
kisi ki yaad hai aur hasraton ka matam hai

Ghazal

Kisi ki yaad hai aur hasraton ka matam hai

Fakhr Zaman

;

kisi ki yaad hai aur hasraton ka matam hai
bahut dinon se lagatar aankh pur-nam hai

ho zard zard na kyun shama ki ziya yaro
ki us ko apne pighalne ka jaan-gusil gham hai

gham-o-alam ka bhi ehsas ab nahin hota
shuur-o-fikr-o-nazar ka ajib aalam hai

lahu jalao kuchh us mein ki raushni to baDhe
charagh-e-bazm sar-e-sham hi se maddham hai

bachi hai KHam mein jo wo 'faKHr' hai mera hissa
ki mere jam hi mein dusron se mai kam hai