اردو हिंदी
Kisi ki yaad-e-rangin mein hai ye dil be-qarar ab tak | Shaahi Shayari
kisi ki yaad-e-rangin mein hai ye dil be-qarar ab tak

Ghazal

Kisi ki yaad-e-rangin mein hai ye dil be-qarar ab tak

Zahiir Ahmad Taaj

;

kisi ki yaad-e-rangin mein hai ye dil be-qarar ab tak
rahin-e-shauq be-payan hai chashm-e-intizar ab tak

unhen apna batata hai unhen apna samajhta hai
fareb-e-zindagi hai ye dil-e-diwana-war ab tak

jinhen ehsas bhi shayad na ho jazbaat-e-ulfat ka
ye mera sada dil un par hai sau jaan se nisar ab tak

nahin mumkin ki sahra ko bhula dun lutf-e-manzil mein
mere panw ke talwe mein chubhi hai nok-e-KHar ab tak

mujhe aadab-e-ulfat yaad hain hangam-e-wahshat ke
gareban chaak hai daman hai apna tar tar ab tak

juda un se hua hun jurm-e-izhaar-e-mohabbat mein
main ek harf-e-tamanna par hun yaro sogwar ab tak

chaman mein sair-e-gul wo aur main ai 'taj' kya din the
bahaaren aain aane ko na aai wo bahaar ab tak