kisi ki sans ukhaDti ja rahi thi
mein lachaari se takti ja rahi thi
jo phenki kankari thi qabr par wo
dua-e-KHair karti ja rahi thi
udhar tha husn ka inkar phir bhi
talab musa ki baDhti ja rahi thi
tawaf-e-kaba ki aisi KHushi thi
ki meri sans rukti ja rahi thi
zamane ke sitam sahte hue bhi
'zamani' shauq karti ja rahi thi
Ghazal
Kisi ki sans ukhaDti ja rahi thi
Asifa Zamani