اردو हिंदी
Kisi ki nek ho ya bad jahan mein KHu nahin chhupti | Shaahi Shayari
kisi ki nek ho ya bad jahan mein KHu nahin chhupti

Ghazal

Kisi ki nek ho ya bad jahan mein KHu nahin chhupti

Aish Dehlvi

;

kisi ki nek ho ya bad jahan mein KHu nahin chhupti
chhupae lakh KHushbu ya koi badbu nahin chhupti

zaban par jab talak aati nahin albatta chhupti hai
zaban par jab ki aai baat ai gul-ru nahin chhupti

yahan to tujh ko sau parde lage hain ahl-e-taqwa se
bhala rindon se kyun ai duKHtar-e-raz tu nahin chhupti

saliqa kya kare is mein koi betabi-e-jaan ko
chhupao sau tarah jab dil ho be-qabu nahin chhupti

hijab us mein kahan hai be-hijabi jis ki aadat ho
chhupa kar lakh piwe gar koi daru nahin chhupti

ruKH-e-raushan ko tum kyun chhoD kar zulfen chhupate ho
chamak ruKH ki chhupae se tah-e-gesu nahin chhupti

ye rish o jubba o dastar zahid ki banawaT hai
tabiat be-takalluf jis ki ho yaksu nahin chhupti

kalam apna abas tu ahl-e-danish se chhupata hai
jahan mein 'aish' tarz-e-shair-e-KHush-go nahin chhupti