kisi ki jit ka sadma kisi ki mat ka bojh
kahan tak aur uThaen talluqat ka bojh
ana ka bojh bhi aaya usi ke hisse mein
bahut hai jis ke uThane ko apni zat ka bojh
jhaTak diya hai kabhi sar se bar-e-hasti bhi
uTha liya hai kabhi sar pe kaenat ka bojh
abhi se aaj ke din ka hisab kya mani
abhi to zehn pe baqi hai kal ki raat ka bojh
yahi na ho main kisi din kuchal ke rah jaun
ubhaarta hai bahut zat ko sifat ka bojh
paDa tha saya bas ek bar dast-e-shafqat ka
so ab ye sar hai mera aur kisi ke hath ka bojh
abhi do chaar na kar hijr ki aziyyat se
abhi to main ne uThaya hai tere sath ka bojh
Ghazal
Kisi ki jit ka sadma kisi ki mat ka bojh
Rashid Mufti

