kisi ki ishwa-gari se ba-ghair-e-fasl-e-bahaar
sabhi ka chaak gireban hai dekhiye kya ho
tumhein KHabar hi nahin ai tuyur-e-naghma-sara
yahi chaman yahi zindan hai dekhiye kya ho
jahan kashud-e-nawa par KHizan ke pahre hain
wahin bahaar-e-ghazal-KHwan hai dekhiye kya ho
subu uTha ki ye nazuk maqam hai saqi
na ahrman hai na yazdan hai dekhiye kya ho
rawan hai mauj-e-gul-o-lala mauj-e-KHun ki tarah
chaman shahid-e-bahaaran hai dekhiye kya ho
daraazi-e-shab-e-hijran se mujh ko KHauf na tha
kisi ki zulf-e-pareshan hai dekhiye kya ho
hawa ka rang ye hai aashiyan to ek taraf
qafas bhi shaKH pe larzan hai dekhiye kya ho
yahi hai dil se shikayat ki mera mahram-e-raaz
mujhi se dast-o-gireban hai dekhiye kya ho
hamin hain pir-e-mughan kafiron ke ai 'abid'
hamin ko dawa-e-iman hai dekhiye kya ho
Ghazal
Kisi ki ishwa-gari se ba-ghair-e-fasl-e-bahaar
Syed Aabid Ali Aabid