اردو हिंदी
Kisi ki den hai lekin meri zarurat hai | Shaahi Shayari
kisi ki den hai lekin meri zarurat hai

Ghazal

Kisi ki den hai lekin meri zarurat hai

Zeeshan Sahil

;

kisi ki den hai lekin meri zarurat hai
junun kamal nahin hai kamal-e-wahshat hai

main zindagi ke sabhi gham bhulae baiTha hun
tumhaare ishq se kitni mujhe sahulat hai

guzar gai hai magar roz yaad aati hai
wo ek sham jise bhulne ki hasrat hai

zamane wale to shayad nahin kisi qabil
jo milta rahta hun un se meri murawwat hai

hawa bahaar ki aaegi aur main chumunga
wo sare phul ki jin mein teri shabahat hai

KHuda rakhe teri aankhon ki dil-nawazi ko
teri nigah meri umr bhar ki daulat hai

tere baghair bujha ja raha hun andar se
jo Thik-Thak hun bahar se to ye aadat hai

jo ho sake to mujhe apne pas rakh lena
tera visal to ek sanwi saadat hai

tere baghair koi kaise zinda rahta hai
magar main hun ki yahi ishq ki riwayat hai