kisi ki chashm-e-gurezan mein jal bujhe hum log
ajab mashaqqat-e-hijran mein jal bujhe hum log
hum apne aks ko aaina karne wale the
pe ek lamha-e-hairan mein jal bujhe hum log
sambhaal paega phir kaun KHwab ka warsa
isi KHayal-e-pareshan mein jal bujhe hum log
jo aankh se nahin Tapke in aansuon ke sath
KHud apne KHema-e-mizhgan mein jal bujhe hum log
hamare KHun ki qimat pe jo KHaridi gai
usi bahaar-e-gulistan mein jal bujhe hum log
kahan talak ki uThate azab-e-tanhai
akele hujla-e-viran mein jal bujhe hum log
saza-e-maut se bad-tar hai aagahi ki saza
shuur-e-harf ke zindan mein jal bujhe hum log
hamein kisi ka bahut intizar tha 'ruhi'
so ban ke shama shabistan mein jal bujhe hum log
Ghazal
Kisi ki chashm-e-gurezan mein jal bujhe hum log
Rehana Roohi