kisi ki aankhon ka zikr chheDen ajib kuchh pur-waqar aankhen
magar KHuda wasta na Dale baDi hi be-e'tibar aankhen
numaishi rasm-e-parda-dari rahegi jab tak to ye bhi hoga
naqab sarkegi jab zara bhi uThengi be-iKHtiyar aankhen
jahan jahan rabt-e-chashm-o-dil hai wahan wahan baat chal rahi hai
nahin to bazm-e-KHamoshan mein hazar dil hain hazar aankhen
naqab uTThi to apna aalam na tark-e-jalwa na tab-e-jalwa
nazar uThi bar bar lekin jhapak gain bar bar aankhen
nazar mila kar nazar bacha kar nazar badal kar nazar chura kar
namuna ban ban ke kah rahi hain haqiqat-e-rozgar aankhen
kisi se izhaar-e-muddaa par mera wo KHauf-o-hiras 'mahshar'
kisi ki wo tez tez sansen kisi ki wo be-qarar aankhen
Ghazal
Kisi ki aankhon ka zikr chheDen ajib kuchh pur-waqar aankhen
Mahshar Inayati