اردو हिंदी
Kisi ki aankh mein KHud ko talash karna hai | Shaahi Shayari
kisi ki aankh mein KHud ko talash karna hai

Ghazal

Kisi ki aankh mein KHud ko talash karna hai

Amjad Islam Amjad

;

kisi ki aankh mein KHud ko talash karna hai
phir us ke baad hamein aainon se Darna hai

falak ki band gali ke faqir hain tare!
ki ghum phir ke yahin se unhen guzarna hai

jo zindagi thi meri jaan! tere sath gai
bas ab to umr ke naqshe mein waqt bharna hai

jo tum chalo to abhi do qadam mein kaT jae
jo fasla mujhe sadiyon mein par karna hai

to kyun na aaj yahin par qayam ho jae
ki shab qarib hai aaKHir kahin Thaharna hai

wo mera sail-e-talab ho ki teri ranai
chaDha hai jo bhi samundar use utarna hai

sahar hui to sitaron ne mund lin aankhen
wo kya karen ki jinhen intizar karna hai

ye KHwab hai ki haqiqat KHabar nahin 'amjad'
magar hai jina yahin par yahin pe marna hai