kisi KHata se hamein inhiraf thoDi hai
hamara KHud se koi iKHtilaf thoDi hai
basaraton ke alam-dar hain yahan kuchh log
har ek nazar pe andhera ghilaf thoDi hai
kabhi to hum bhi tumhaara suragh pa lenge
tumhaara shahr koi koh-e-qaf thoDi hai
ye aaina tumhein tum sa dikha nahin sakta
agarche saf hai utna bhi saf thoDi hai
zaban-e-KHalq ko naqqara-e-KHuda samjho
ye jaante hain sabhi inkishaf thoDi hai
zamin ka ghaw hai miTTi se bhar hi jaega
hamare dil ki tarah ka shigaf thoDi hai
hum ehtijaj bapa kar rahe hain apne KHilaf
hamara shahar hamare KHilaf thoDi hai
isi liye to nahata hai barishon mein wajud
hai aabdida magar e'tiraf thoDi hai
Ghazal
Kisi KHata se hamein inhiraf thoDi hai
Ashraf Ali Ashraf