اردو हिंदी
Kisi KHamoshi ka zahr jab ek mukalme ki tarah se chup tha | Shaahi Shayari
kisi KHamoshi ka zahr jab ek mukalme ki tarah se chup tha

Ghazal

Kisi KHamoshi ka zahr jab ek mukalme ki tarah se chup tha

Najmus Saqib

;

kisi KHamoshi ka zahr jab ek mukalme ki tarah se chup tha
ye waqia hai ki shahr-e-qatil bujhe diye ki tarah se chup tha

sahar ke aasar jab numayan hue to binai chhin chuki thi
qubuliyat ka wo ek lamha mujassame ki tarah se chup tha

kisi talluq ke TuTne ka azab donon ke dil par utra
main aks ban ke Thahar gaya tha wo aaine ki tarah se chup tha

paDaw Dale kisi ne aa ke hazar koson ki duriyon mein
hamara dil ki kisi parinda ke ghonsle ki tarah se chup tha

kahin se us ko bhi meri chahat ki kuchh dalilen mili thin shayad
wo ab ke aaya to guzri shamon ke ek samay ki tarah se chup tha