kisi ke zaKHm par ashkon ka phaha rakh diya jae
chalo suraj ke sar par thoDa saya rakh diya jae
mere malik sar-e-shaKH-e-shajar ek phul ki manind
meri be-dagh peshani pe sajda rakh diya jae
gunahgaron ne socha hai musalsal nekiyan kar ke
shab-e-zulmat ke sine par ujala rakh diya jae
tan-e-be-sar hun mere sae mein ab kaun baiThega
daraKHton mein mere hisse ka saya rakh diya jae
bulate hain hamein mehnat-kashon ke hath ke chhaale
chalo muhtaj ke munh mein niwala rakh diya jae
duaen mangte hain wo hamare rizq ki KHatir
faqiron ke liye thoDa sa aaTa rakh diya jae
mujhe chalne nahin denge ye mere panw ke chhaale
mere talwon ke niche koi kanTa rakh diya jae
riwajon ki wo kasrat hai ki dam ghuTne laga apna
uTha kar ab 'raza' parina qissa rakh diya jae
Ghazal
Kisi ke zaKHm par ashkon ka phaha rakh diya jae
Raza Mauranvi