kisi ke wada-e-farda mein gum hai intizar ab bhi
KHuda jaane hai kyun ek be-wafa par eatibar ab bhi
kabhi ki thi tamanna lala-o-gul ki nigahon ne
rulati hai lahu ke rang mein fasl-e-bahaar ab bhi
tere qaul-o-amal mein farq milta hai mujhe zahid
zaban par lafz-e-tauba hai nigah mein hai KHumar ab bhi
KHizan ke baad is ummid par gulshan nahin chhoDa
ye mumkin hai ki chal jae hawa-e-KHush-gawar ab bhi
hamare dil ko jis ne shams' virani inayat ki
usi ko yaad karti hai nigah-e-be-qarar ab bhi
Ghazal
Kisi ke wada-e-farda mein gum hai intizar ab bhi
Shams Farrukhabadi