kisi ke sath gaya muddaten guzar aaya
baDe dinon mein kahin ja ke phir qarar aaya
nahin hai KHwab ye sach hai na e'tibar aaya
ye kya hua ki unhen aur mujh pe pyar aaya
gaya tha aankhon mein ummid ki kiran le kar
main us ke shahr se lauTa to ashk-bar aaya
wo tha jahaz ka panchhi na main jahaz koi
na kaam sabr hi aaya na intizar aaya
faraaz-e-koh ka rasta bhi tha kaDa lekin
'KHayal' kanp uThi ruh jab utar aaya

Ghazal
Kisi ke sath gaya muddaten guzar aaya
Priyadarshi Thakur u0027Khayalu0027