kisi ke samne is tarah surKH-ru hogi
nigah KHun-e-tamanna se ba-wazu hogi
ba-roz-e-hashr khaDe honge munsifi ke liye
KHuda mila to muqabil se guftugu hogi
tamam umr ke zaKHmon ka hai hisab kitab
hamari fard-e-amal bhi lahu lahu hogi
qaba-e-zist jo hai KHarzar-e-hasti mein
wo kis ke sozan-e-tadbir se rafu hogi
hamin pe KHatm hain jaur-o-sitam zamane ke
hamare baad use kis ki aarzu hogi
Ghazal
Kisi ke samne is tarah surKH-ru hogi
Fasih Akmal