اردو हिंदी
Kisi ke sae kisi ki taraf lapakte hue | Shaahi Shayari
kisi ke sae kisi ki taraf lapakte hue

Ghazal

Kisi ke sae kisi ki taraf lapakte hue

Nomaan Shauque

;

kisi ke sae kisi ki taraf lapakte hue
naha ke raushniyon mein lage bahakte hue

ye rang rang ke paikar ye tez mausiqi
har ek badan pe kai zaKHm hain thirakte hue

bahut se log the raqsan magar alaw ke gird
kisi ko dekha nahin is tarah damakte hue

ye haq-paraston ki basti ujaD na jae kahin
mujhe mile hain kai aaine sisakte hue

ye kaun samne baiTha hai KHub-ru aisa
malal hone lage aankh bhi jhapakte hue

ab aise KHauf ke sae mein KHwab dekhen kya
yahan to aankh bhi Darne lagi jhapakte hue