kisi ke ru-ba-ru baiTha raha main be-zaban ho kar
meri aankhon se hasrat phuT nikli dastan ho kar
KHuda-hafiz kisi ke raaz-e-ulfat ka KHuda-hafiz
KHayal aate hi ab to dil dhaDakta hai fughan ho kar
piya aab-e-baqa ai KHizr ab tasir bhi dekho
qayamat tak raho paband umr-e-jawedan ho kar
yakayak wo mariz-e-gham ki surat ka badal jaana
wo ro dena kisi na-mehrban ka mehrban ho kar
kitab-e-dahr ka dilchasp TukDa hai meri hasti
mujhe dekho ki baiTha hun mujassam dastan ho kar
suna hai is taraf se bhi janab ishq guzrenge
meri hasti na uD jae ghubar-e-karwan ho kar
Ghazal
Kisi ke ru-ba-ru baiTha raha main be-zaban ho kar
Hafeez Jalandhari