اردو हिंदी
Kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun | Shaahi Shayari
kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun

Ghazal

Kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun

Munawar Khan Ghafil

;

kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun
phaTe kapDon ko apni KHilat-e-diba samajhta hun

jahan diwana koi apne sae se ulajhta hai
use zulf-e-musalsal ka teri sauda samajhta hun

main go majnun hun par matlab nahin kuchh koh-o-sahra se
sawad-e-shahr hi ko KHema-e-laila samajhta hun

hazaron bagh-e-duniya mein tamashe main ne dekhe hain
do-rangi ko zamane ki gul-e-rana samajhta hun

nahin mai-KHana-e-alam mein mujh sa mast-o-be-KHud hai
ki shor-e-hashr ko bhi qulqul-e-mina samajhta hun

ata ki hai KHuda ne chashm-e-wahdat-e-bin mujhe jaise
jise qatra samajhta tha use dariya samajhta hun

hamein rah rah ke yaad aata hai hangam-e-itab us ka
dikha kar aankh kahna rah to ja kaisa samajhta hun

KHat-e-mushkin ko raihan jaanta hun bagh-e-alam mein
teri chashm-e-siyah ko nargis-e-shahla samajhta hun

barabar ghair ke bhi martaba mera nahin afsos
agarche aap kahte hain tujhe apna samajhta hun

maqam-e-imtihan mein dekh lena ek din sahab
raqib-e-ru-siyah Thahrega kya itna samajhta hun

numud itni kahan thi shaeri mein meri ai 'ghafil'
mein is shohrat ko faiz-e-sohbat-e-'goya' samajhta hun