kisi ke lab pe bhole-pan se mera nam hai shayad
meri bechaargi se phir kisi ko kaam hai shayad
ye halchal si machi hai aaj jo sare zamane mein
suna hai kuchh hamare waste paigham hai shayad
tumhein bhi ras aae ya na aae aaj ka aalam
tumhaara bhi hamari hi tarah anjam hai shayad
zamane ko nahin bhaya mera KHamosh sa rahna
KHamoshi bhi meri ab morid-e-ilzam hai shayad
na kali raat kaTti hai na raushan din guzarta hai
kisi se dil lagane ka yahi anjam hai shayad
asar karta agar nala to patthar mom ho jata
abhi jazb-e-mohabbat hi hamara KHam hai shayad
faqat ruswaiyan likkhi hain 'shadan' ke muqaddar mein
rah-e-ulfat mein chalne ka yahi inam hai shayad
Ghazal
Kisi ke lab pe bhole-pan se mera nam hai shayad
Shanti Lal Malhotra