kisi ke husn-e-alam-tab ki tanwir ke sadqe
kisi bad-baKHt ki surat bhi pahchani nahin jati
murawwat ki ada par band aankhen kar ke luT jaana
ye nadani sahi lekin ye nadani nahin jati
wahan dil le chala hai phir wahi ek baat kahne ko
kahi jati hai jo aksar magar mani nahin jati
KHudawanda phir aaKHir kya tamanna hai mere dil ki
wo pahlu mein bhi hain lekin pareshani nahin jati
kiya tha main ne shikwa aap ne aankhen jhuka li thin
hui muddat magar ab tak pashemani nahin jati
wahi hai apni rindi aur wahi waiz ki fahmaish
buri aadat koi bhi ho ba-asani nahin jati
Ghazal
Kisi ke husn-e-alam-tab ki tanwir ke sadqe
Hari Chand Akhtar

