اردو हिंदी
Kisi ke ghar na mah o sal ke mausam mein rahte hain | Shaahi Shayari
kisi ke ghar na mah o sal ke mausam mein rahte hain

Ghazal

Kisi ke ghar na mah o sal ke mausam mein rahte hain

Mahtab Haider Naqvi

;

kisi ke ghar na mah o sal ke mausam mein rahte hain
ki hum hijr-o-visal-e-yar ke aalam mein rahte hain

wahi gul-gun qaba-e-yar hai nazzara-e-hairat
usi na-mehrban ke gesu-e-pur-KHam mein rahte hain

wahi pyasi zamin hai halqa-e-zanjir ki surat
wahi ek aasman jis ke tale shabnam mein rahte hain

hamein ye rang-o-bu ki baat ab achchhi nahin lagti
bura kya hai jo hum apni hi chashm-e-nam mein rahte hain

guzar hi jaegi umr-e-rawan aahista aahista
agarche ilm hai hum ek dam-e-be-dam mein rahte hain