kisi ke dast-e-talab ko pukarta hun main
uThao hath mujhe mang lo dua hun main
mere azal aur abad mein nahin hai fasl koi
abhi shurua abhi KHatm ho gaya hun main
basi hai mujh mein yugon se ajib virani
badan se ruh talak be-karan KHala hun main
na koi aag hai mujh mein na raushni na dhuan
kisi ke KHwab mein jalta hua diya hun main
nazar ke waste apna nazara kafi hai
KHud apna aks hun KHud apna aaina hun main
bhaTak raha hun main be-ant shah-rahon par
tumhaare shahr mein bilkul naya naya hun main
Ghazal
Kisi ke dast-e-talab ko pukarta hun main
Qamar Siddiqi