اردو हिंदी
Kisi ke dast-e-inayat ka wo diya hun main | Shaahi Shayari
kisi ke dast-e-inayat ka wo diya hun main

Ghazal

Kisi ke dast-e-inayat ka wo diya hun main

Khaleel Raazi

;

kisi ke dast-e-inayat ka wo diya hun main
jala diya hai kisi ne sulag raha hun main

dayar-e-lutf mein aisa shikasta-pa hun main
lipaT ke kanTon se roe wo aabla hun main

mujhe meri hi riayat ne kar diya mahrum
pakaD pakaD ke jo daman ko chhoDta hun main

mujhi mein kaun KHata hai ki jo kisi mein nahin
ek aadmi hun yahi bas na aur kya hun main

thake hue hain mere hausle kahan chal ke
zara sa ruk ke yahan sans le raha hun main

sanam-kadon ki na paD jae har jagah buniyaad
jigar ke TukDe zamin par bikherta hun main

gaya to bhul gaya koi dard-e-zaKHm ka haal
wo kashmakash hai ki gham se lipaT raha hun main