kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhoka hai sab magar phir bhi
hazar bar zamana idhar se guzra hai
nai nai si hai kuchh teri rahguzar phir bhi
kahun ye kaise idhar dekh ya na dekh udhar
ki dard dard hai phir bhi nazar nazar phir bhi
KHusha ishaara-e-paiham zahe sukut-e-nazar
daraaz ho ke fasana hai muKHtasar phir bhi
jhapak rahi hain zaman o makan ki bhi aankhen
magar hai qafila aamada-e-safar phir bhi
shab-e-firaq se aage hai aaj meri nazar
ki kaT hi jaegi ye sham-e-be-sahar phir bhi
kahin yahi to nahin kashif-e-hayat-o-mamat
ye husn o ishq ba-zahir hain be-KHabar phir bhi
palaT rahe hain gharib-ul-watan palaTna tha
wo kucha ru-kash-e-jannat ho ghar hai ghar phir bhi
luTa hua chaman-e-ishq hai nigahon ko
dikha gaya wahi kya kya gul o samar phir bhi
KHarab ho ke bhi socha kiye tere mahjur
yahi ki teri nazar hai teri nazar phir bhi
ho be-niyaz-e-asar bhi kabhi teri miTTi
wo kimiya hi sahi rah gai kasar phir bhi
lipaT gaya tera diwana garche manzil se
uDi uDi si hai ye KHak-e-rahguzar phir bhi
teri nigah se bachne mein umr guzri hai
utar gaya rag-e-jaan mein ye neshtar phir bhi
gham-e-firaq ke kushton ka hashr kya hoga
ye sham-e-hijr to ho jaegi sahar phir bhi
fana bhi ho ke giran-bari-e-hayat na puchh
uThae uTh nahin sakta ye dard-e-sar phir bhi
sitam ke rang hain har iltifat-e-pinhan mein
karam-numa hain tere jaur sar-ba-sar phir bhi
KHata-muaf tera afw bhi hai misl-e-saza
teri saza mein hai ek shan-e-dar-guzar phir bhi
agarche be-KHudi-e-ishq ko zamana hua
'firaq' karti rahi kaam wo nazar phir bhi
Ghazal
Kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi
Firaq Gorakhpuri