kisi ka yun to hua kaun umr-bhar phir bhi
na jaane kyun tha yaqin tere pyar par phir bhi
hazar bar mere dil ko us ne Thukraya
mujhe hai us se umid-e-wafa magar phir bhi
tumhaare naqsh-e-qadam par gaya main sar-ba-sujud
kisi ke aage jhukaya na tha ye sar phir bhi
main us ki chah mein donon jahan chhoD chala
wo bewafa na mera ho saka magar phir bhi
tumhaari bazm se nikle to phir mili na aman
bhaTakte phirte rahe garche dar-ba-dar phir bhi
na tu hi tu wo raha aur na main hi main wo raha
hai naqsh nam tera mere qalb par phir bhi
main apni jaan bhi us par luTa ke dekh chuka
use aziz raha mujh se mal-o-zar phir bhi
main tujh ko chhoD ke sar phoDne kahan jaun
mere nasib mein hai tera sang-e-dar phir bhi
bana sake na tere dil mein apna ghar 'arif'
luTa diya teri chahat mein apna ghar phir bhi
Ghazal
Kisi ka yun to hua kaun umr-bhar phir bhi
Arif Hasan Khan