kisi ka qahr kisi ki dua mile to sahi
sahi wo dushman-e-jaan-ashna mile to sahi
abhi to lal hari battiyon ko dekhte hain
mile kisi ki KHabar silsila mile to sahi
ye qaid hai to rihai bhi ab zaruri hai
kisi bhi samt koi rasta mile to sahi
ye sham-e-sard mein har su alaw jalte hain
siyah KHamoshi mein koi sada mile to sahi
qaba-e-jism ki hai tar tar nazr karen
kabhi kahin wahi pagal hawa mile to sahi
Ghazal
Kisi ka qahr kisi ki dua mile to sahi
Abdul Hamid