kisi ka naqsh jo pal bhar raha hai aankhon mein
baDe KHulus se ghar kar raha hai aankhon mein
zamin se ta-ba-surayya hai raushni lekin
yahan to raat ka manzar raha hai aankhon mein
chala gaya hai tasawwur ki sarhadon se pare
wo ek shaKHs jo aksar raha hai aankhon mein
abhi abhi koi shahr-e-tarab se guzra hai
kise dikhaun dhuan bhar raha hai aankhon mein
teri nazar mein murawwat agar nahin na sahi
mera KHulus barabar raha hai aankhon mein
Ghazal
Kisi ka naqsh jo pal bhar raha hai aankhon mein
Mohammad Ali Asar