kisi ka koi Thikana hai koi Thor bhi hai
ye zindagi hai kahin is ka or-chhor bhi hai
jhula raha hai ye gahwara kaun sadiyon se
are kisi ne ye dekha ki koi Dor bhi hai
har aadmi hai yahan jabr-o-iKHtiyar ke sath
magar ye dekh kisi ka kisi pe zor bhi hai
sunega koi to phir kuchh use sunai na de
ki har sukut ke parde mein ek shor bhi hai
wo husn ishq-sifat hai wo ishq husn-numa
wo mera chand bhi hai wo mera chakor bhi hai
shikar kar ki dilon ki sunahre jangal mein
zarur raqs mein badmast koi mor bhi hai
hazar jaan se hum ek hain ye sach hai 'shaz'
riwaj-o-rasm ka lekin dilon mein chor bhi hai
Ghazal
Kisi ka koi Thikana hai koi Thor bhi hai
Shaz Tamkanat