kisi ka kaam dil is charKH se hua bhi hai
koi zamane mein aaram se raha bhi hai
kisi mein mehr-o-mohabbat kahin wafa bhi hai
koi kisi ka zamane mein aashna bhi hai
koi falak ka sitam mujh se bach raha bhi hai
jana nasib koi mujh sa dusra bhi hai
bura na maniyo main puchhta hun ai zalim
ki be-kason ke satae se kuchh bhala bhi hai
jo puKHta-maghz hain we soz-e-dil nahin kahte
kisi ne shama se jalne mein kuchh suna bhi hai
tum is qadar jo niDar ho ke zulm karte ho
butan hamara tumhaara koi KHuda bhi hai
tu qatilon se lagata hai dil ko kyun 'taban'
ki un ke hath se jita koi bacha bhi hai
Ghazal
Kisi ka kaam dil is charKH se hua bhi hai
Taban Abdul Hai