kisi ka dil ko raha intizar sari raat
falak ko dekha kiye bar bar sari raat
taDap taDap ke tamanna mein karwaTen badlin
na paya dil ne hamare qarar sari raat
idhar to shama thi giryan udhar the hum giryan
isi tarah pe rahe ashk-bar sari raat
KHayal-e-sham-ruKH-e-yar mein jale ta-subh
liya qarar na parwana-war sari raat
na puchh soz-e-judai ko hum se ai hamdam
jala kiya ye dil-e-daghdar sari raat
mizha ke ishq se aai na nind aankhon mein
nazar khaTakti rahi ban ke KHar sari raat
KHayal-e-zulf-e-siyah mein baha kiye aansu
bandha raha mere rone ka tar sari raat
na puchh hum se 'asar' raat kis tarah kaTi
ajab tarah ka raha intishaar sari raat
Ghazal
Kisi ka dil ko raha intizar sari raat
Imdad Imam Asar