kisi ka chehra kisi par saja nahin deta
kabhi fareb koi aaina nahin deta
hasad ka rang pasandida rang hai sab ka
yahan kisi ko koi ab dua nahin deta
ek e'timad tha baqi so uTh gaya wo bhi
ki bhai bhai ke ghar ka pata nahin deta
bujhae jab se hamare charag logon ne
koi daraKHt hamein ab hawa nahin deta
hamein KHuda pe bharosa hai na-KHuda pe nahin
KHuda jo deta hai wo na-KHuda nahin deta
Ghazal
Kisi ka chehra kisi par saja nahin deta
Akhtar lakhnvi