kisi insan ko apna nahin rahne dete
shahr aise hain ki tanha nahin rahne dete
daere chand hain gardish mein azal se jo yahan
koi bhi chiz hamesha nahin rahne dete
kabhi nakaam bhi ho jate hain wo log ki jo
wapsi ka koi rasta nahin rahne dete
un se bachna ki bichhate hain panahen pahle
phir yahi log kahin ka nahin rahne dete
jis ko ehsas ho aflak ki tanhai ka
der tak us ko akela nahin rahne dete
waqai nur liye phirte hain sar pe koi
apne atraf jo saya nahin rahne dete
zindagi pyari hai logon ko agar itni 'malal'
kyun masihaon ko zinda nahin rahne dete
Ghazal
Kisi insan ko apna nahin rahne dete
Sagheer Malal