kisi hasrat-zada ne KHud-kushi manzur ki dil se
sada labbaik ki sun kar zamin-e-ku-e-qatil se
KHuda ke waste dam bhar to ai baad-e-ajal tham ja
ki le lun kuchh hawa main daman-e-shamshir-e-qatil se
Thaharna o dil-e-betab phir tu bhi to sine mein
nikal aae taDap kar mauj jab aaghosh-e-sahil se
zamin se aasman tak meri betabi ka charcha hai
sabaq leti hai bijli aa ke mere qalb-e-bismil se
koi tadbir socho taki dil aa jae qabu mein
kahin main qaid ho sakta hun in tauq-o-salasil se
abhi dekho to meri mashq kis had tak pahunchti hai
bana lunga kabhi tum ko bhi apna jazb-e-kaamil se
gira tha qatra-e-awwal jo mere KHun-e-nahaq se
uThi thi surKH ek aandhi zamin-e-ku-e-qatil se
wo ab aate hi honge aur yan par aa ke baiThenge
KHudawanda ye baaten kab talak 'alim' kare dil se
Ghazal
Kisi hasrat-zada ne KHud-kushi manzur ki dil se
Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi