kisi guman pe tawaqqoa ziyaada rakhte hain
phir aaj ku-e-butan ka irada rakhte hain
bahaar aaegi jab aaegi ye shart nahin
ki tishna-kaam rahen garche baada rakhte hain
teri nazar ka gila kya jo hai gila dil ka
to hum se hai ki tamanna ziyaada rakhte hain
nahin sharab se rangin to gharq-e-KHun hain ki hum
KHayal-e-waz-e-qamis-o-libaada rakhte hain
gham-e-jahan ho gham-e-yar ho ki tir-e-sitam
jo aae aae ki hum dil kushada rakhte hain
jawab-e-waiz-chabuk-zaban mein 'faiz' hamein
yahi bahut hain jo do harf-e-sada rakhte hain
Ghazal
Kisi guman pe tawaqqoa ziyaada rakhte hain
Faiz Ahmad Faiz