اردو हिंदी
Kisi gul mein nahin pane ki tu bu-e-wafa hargiz | Shaahi Shayari
kisi gul mein nahin pane ki tu bu-e-wafa hargiz

Ghazal

Kisi gul mein nahin pane ki tu bu-e-wafa hargiz

Taban Abdul Hai

;

kisi gul mein nahin pane ki tu bu-e-wafa hargiz
abas apna dil ai bulbul chaman mein mat laga hargiz

tabibon se ilaj-e-ishq hota hai nipaT mushkil
hamare dard ki un se nahin hone ki dawa hargiz

taja ghar ek aur sare bayaban ka hua waris
koi majnun sa ayyara na hoga dusra hargiz

bahaar aai hai kyunkar andaliben bagh mein jawen
qafas ke dar ke tain karta nahin sayyaad wa hargiz

na the aashiq kisi be-dad par hum jab talak 'taban'
hamare dil ke tain kuchh dard-o-gham tab tak na tha hargiz