kisi ehsas mein pahli si ab shiddat nahin hoti
ki ab to dil ke sannaTe se bhi wahshat nahin hoti
zamane-bhar ke gham apna liye hain KHud-farebi mein
KHud apne gham se milne ki hamein fursat nahin hoti
guzar jati hai sari zindagi jin ke taaqub mein
bagule hain kisi bhi KHwab ki surat nahin hoti
qasam khai hai hum ne barha KHamosh rahne ki
magar ghuT-ghuT ke rahne ki abhi aadat nahin hoti
use main aagahi ka faiz samjhun ya saza samjhun
hamein duniya ki nairangi pe ab hairat nahin hoti
jahan par makr-o-fan aadab-e-mahfil ban ke chhaya ho
hamein aisi kisi mahfil se kuchh nisbat nahin hoti
hazaron an-kahi baaten jinhen likhne ko ji chahe
kabhi himmat nahin hoti kabhi fursat nahin hoti
Ghazal
Kisi ehsas mein pahli si ab shiddat nahin hoti
Azra Naqvi