kisi dayar kisi dasht mein saba le chal
kahin qayam na kar mujh ko ja-ba-ja le chal
main apni aankhen bhi rakh aaun us ki chaukhaT par
ye sare KHwab mere aur rat-jaga le chal
main apni rakh uDaunga jal bujhunga wahin
mujhe bhi us ki gali mein zara hawa le chal
hatheliyon ki lakiron mein us ka chehra hai
ye mere hath liye ja meri dua le chal
badan ki KHak in aankhon ki ek amanat hai
qadam uThen na uThen zindagi sambhaale chal
Ghazal
Kisi dayar kisi dasht mein saba le chal
Tasleem Ilahi Zulfi