kisi dasht o dar se guzarna bhi kya
hue KHak jab to bikharna bhi kya
wahi ek samundar wahi ek hawa
meri sham tera sanwarna bhi kya
lakiron ke hain khel sab zawiye
idhar se udhar panw dharna bhi kya
mujhe ub si sab se hone lagi
ye jina bhi kya aur marna bhi kya
agar un se bach kar nikal jaiye
to phir us ki aankhon se Darna bhi kya
ghane jangalon ki bujhi kaise aag
kahin pas tha koi jharna bhi kya
kisi tarah se us ka ghar to mila
magar ab mulaqat karna bhi kya
Ghazal
Kisi dasht o dar se guzarna bhi kya
Abdul Hamid