kisi dasht ka lab-e-KHushk hun jo na pae muzhda-e-ab tak
kabhi aae bhi meri samt ko to baras na pae sahab tak
main talab ke dasht mein phir chuka to ye raaz mujh pe ayan hua
meri tishnagi ke ye pher hain ki jo aab se hain sarab tak
tujhe jaan kar ye pata chala tu maqam-e-did mein aur tha
kai marhale hain fareb ke meri aankh se mere KHwab tak
main wo mani-e-gham-e-ishq hun jise harf harf likha gaya
kabhi aansuon ki bayaz mein kabhi dil se le ke kitab tak
Ghazal
Kisi dasht ka lab-e-KHushk hun jo na pae muzhda-e-ab tak
Saleem Ahmed