kisi daraaz mein rakhna ki taq par rakhna
mere KHutut-e-mohabbat sambhaal kar rakhna
kisi bhi daur mein shayad main tere kaam aaun
juda ho shauq se kuchh rabta magar rakhna
ghaTaen yas ki chhaengi chhaT bhi jaengi
hujum-e-dard mein qabu hawas par rakhna
KHuda kare ki mile tujh ko manzil-e-maqsud
faraaz pa ke nashebon pe bhi nazar rakhna
ana ko bech ke jina bhi koi jina hai
bala se jaan jo jati hai jae sar rakhna
kabhi ho ghar mein jo mera bhi intizar tujhe
andheri raat mein hargiz khula na dar rakhna
KHuda ke hath hai maut o hayat ai 'rasiKH'
hawas ke dar pe mohabbat ko mo'tabar rakhna
Ghazal
Kisi daraaz mein rakhna ki taq par rakhna
Rasikh Irfani